bar-ha aisi tanhaiyon mein
ki jab tirgi bol uThe
zaiqa mausamon ka zaban par yakayak badal jae
hum sab yahi sochte hain
ki shayad koi aur hain
magar kaun?
waqfa-e-umr mein kis ne samjha hai
sab maut hi ko visal apna kahte hain
sab maut ke muntazir hain
main ne aur sirf main ne
teri sanson mein
teri sanson mein
apna umaDta barasta hua sail dekha hai
jo roz-e-awwal aur aaKHir muqaddar hai
jo ibtida intiha hai
log jis ke liye maut ke muntazir hain
log be-wajh kyun maut ke muntazir hain?
koi shai jhil ki tah mein jab Dubti hai
to ek bulbula jagta hai
kitna bechain simab-pa
raaz tah ke ugalta hai aur TuTta hai
usi dam
sath ko chumti sab hawaen ye kahti hain
kuchh bhi nahin
kisi tah mein gahrai mein kuchh nahin
maut be-faiz sa saneha hai
log be-wajh kyun maut ke muntazir hain?
Nazm
Sanson ki paighambari
Qazi Saleem