sanp lapeTe ghum raha hun
duniya mujh se KHauf-zada hai
sab mujh ko achchhe lagte hain
lekin yun hai
jis laDki ko chaha main ne
jis laDke ko dost banaya
jis ghar mein man bap banae
jis masjid mein ghuTne Teke
sab ne mera sanp hi dekha
mujh ko koi dekh na paya
main sab ko kaise samjhaun
ye duniya ka sanp nahin hai
mere sath pala posa hai
ye mera man jaya
bas mujh ko Dasta hai
Nazm
Sanp
Farhat Ehsas