hamesha tum ne apna-ap apni jeb mein rakkha
magar phir bhi kushada-dil kushada-dast kahlae
luTaya tum ne KHud par dusron ko muTThiyan bhar ke
hamesha chahne walon ko afsun ki tarah barta
magar aise saliqe se
ki KHud ko sarf kar ke bhi kisi ko gham nahin hota
tumhaara sehr aisa hai
ki jis par kaam kar jae
kabhi phir kam nahin hota
tumhaara rang jis par bhi chaDhe
maddham nahin hota
Nazm
Sahir
Hamida Shahin