sae ki pisli se nikla hai jism tera
boson ka gila-pan lafzon ke honTon par
aawazen chalti hain hathon mein hath liye
kanTon ne lamhon ke KHwabon ko noch liya
hathon mein talwaren le kar wo aae the
aae the kaT gae mani ke nak aur kan
TuTa hai KHun kahin Duba hai aks kahin
sahra ki chhati par suraj ka raqs kahin
sae ki pisli se nikla hai jism tera
Nazm
Sae ki pisli se nikla hai jism tera
Adil Mansuri