sae ki KHamoshi sirf zamin sahti hai
khokhla peD nahin ya khokhli hansi nahin
aur phir anjaan apni anjaani hansi mein hansa
qahqahe ka patthar sang-rezon mein taqsim ho gaya
sae ki KHamoshi
aur phul nahin sahte
tum
samundar ko lahron mein tartib mat do
ki tum KHud apni tartib nahin jaante
tum
zamin pe chalna kya jaano
ki but ke dil mein tumhein dhDakna nahin aata
Nazm
Sae ki KHamoshi
Sara Shagufta