zindagi 'sadiya' ke sath khile
dam-ba-dam yam-ba-yam hayat khile
mahw ho jae sab guman-e-nafi
us ke chehre pe jab sabaat khile
lams se us ke nanhe hathon ke
ghuncha-e-inkishaf-e-zat khile
sip honTon mein motiyon ki qatar
jab khile gauhar-e-sifat khile
muskurae to rau mein aae hayat
khilkhila de to kaenat khile
us ki shaffaf nind miThe KHwab
ghar mein taron bhari si raat khile
subh jab aankh mein kiran jage
dur tak sabza-e-hayat khile
wo jawan ho to shaeri nikhre
ek ghazal 'sadiya' ke sath khile
Nazm
Sadem
Abdul Ahad Saaz