mujhe malum hai
mujh se
mere is rog se
mere
sabhi apne pareshan hain
meri
timar-dari se
meri biwi
mere bachche
bahut tang aa chuke hain ab
ye bilkul
saf likkha hai
sabhi chehron pe ke
wo ab
bahut
be-rabt hain mujh se
magar ye farz-e-aKHir hai
nibhana hai
zamana hai
dikhana hai
sabhi tayyariyan
lag-bhag
mukammal ho chuki hongi
dawaon ke sabhi
KHarche ke
mere final bil par
bhi discuss
ho chuki hogi
baDe beTe ne
chhoTe ko
kafan ki zimmedari
saunp di hogi
kahan se
kaise lana hai
wo KHud
masruf hoga
baad marne ke
mere
jo kaam hone hain
unhen anjam dene mein
jagah bhi qabr ki
lag-bhag
muqarrar
ho gai hogi
faqat
ab muntazir hain sab
ki
kis lamha
qaza aae
kaTe zanjir
jis se
main ne
sab ko bandh rakkha hai
Nazm
Rog
Siraj Faisal Khan