kal us ne puchh hi Dala
tum aaKHir kaun ho mere
hamare darmiyan
jo ek talluq hai
jo rishta hai
wo aaKHir kaun sa hai
nam kya hai
kuchh bataoge
to main ne kah diya
rishta wahi hai darmiyan apne
jo aankhon ka hai nindon se
jo nindon ka hai KHwabon se
jo KHwabon ka hai raaton se
jo raaton ka andheron se
andheron ka sitaron se
sitaron ka falak se hai
falak ka chand-suraj se
jo suraj-chand ka hai is zamin se
aur zamin ka peD-paudon se
hawaon se ghaTaon se
ghaTaon ka bahaaron se
bahaaron ka hai phulon se
jo phulon ka hai KHushbu se
jo KHushbu ka hai bhaunron se
jo bhaunron ka hai kaliyon se
jo kaliyon ka hai kanTon se
jo kanTon ka hai shaKHon se
jo shaKHon ka jaDon se hai
jaDon ka hai jo miTTi se
jo miTTi ka bashar se hai
bashar ka jo KHuda se hai
KHuda ka nek bandon se
aur un bandon ka iman se
aur iman ka aqidat se
aqidat ka mohabbat se
mohabbat ka dilon se hai
wahi dil
jo tere sine mein hai aur mere sine mein
mohabbat jis ke andar hai
mohabbat ka hasin rishta wahi hai darmiyan apne
ab is rishte ko koi nam dene ki zarurat hai
Nazm
Rishta
Mohsin Aftab Kelapuri