ye kis janam mein
hum
dobara mile hain
ye KHat
rang
qad
sab mujhe jaante hain
mere lams se aashna hain
main bhaTka hun
kitne sarabon mein sahraon mein
kai karwan mujh se aage gae
un ke naqsh-e-kaf-e-pa abhi mushtail hain
abhi dhul ne un pe chadar bichai nahin hai
mujh se pichhe
nae karwanon ki gard uDa rahi hai
kuchh jiyale jawan
taza-dam tez-rau
aur main
waqt ki rahguzar ka wo tanha musafir
jo har qafile se alag
rah-rawon se alag
ajnabi samt
yun chal raha hai
ki us ke siwa koi surat nahin hai
tahayyur se paida masarrat ke aansu liye
is tarah hum mile jaise pahle kabhi mil chuke the
kaun se karwan se bhaTakti hui
tum dobara idhar aa gai ho
tumhein kaun si manzil-e-zindagi ki talab hai
tumhaari ragon mein bhi
meri ragon ki tarah
kitni sadiyon ka KHun
kitni naslon ka KHun
maujzan hai
aur ye sari naslen
shikasta magar unchi diwar ki tarah istada hain
yunhi kab talak phone par baat karte rahenge
yunhi fasla jism ka lams ka
ek rishta faqat saut-o-awaz ka
ye rishta bhi hissa hai gunge safar ka
jo kab TuT jae
kise ye pata hai
kash ye rishta-e-saut-o-awaz hi daimi ho
ki gunge safar ke sabhi silsile aarzi hain
Nazm
Rishta gunge safar ka
Mazhar Imam