jab ret ka sahra dekh ke Dar jata hai adib ka sina bhi
wo lamhe aksar aate hain
jab zehn ke sare parde aTke aTke se rah jate hain
jab shor machati shaKH-e-zaban se sare parinde mar mar ke
gir jate hain
wo lamhe aksar aate hain
jab aawazon ke pinjar
apne sukhe sukhe hath liye
mere sar par chha jate hain
aur main ghabra sa jata hun
ek qabristan ki tanhai
ek be-mani KHali rasta
aur do panw ki KHali KHali thaki thaki si chap
to apne-ap se bhi Dar jata hun
jab ret ka sahra dekh ke Dar jata hai qalam ka sina bhi
wo lamhe aksar aate hain
Nazm
Ret ka sahra
Paigham Aafaqi