hum ek chae ki mez pe aa kar
ishq ka qissa le baiThe the
har KHatun baDi komal thi
mard nihayat dil wale the
mo'tabaran-e-shahr mein ek ne
us ko flatuni Thahraya
un ki sharik-e-hayat ne us par
tanz se ji-achchha! farmaya
padriyon mein ek ye bole
ishq gharelu ho na to is se
nazm-e-shikam barham hota hai
ek laDki ne puchha kaise?
ek KHatun ne ye farmaya
ishq mein hai talwar ki tezi
aur is dauran mein uTh kar
chae ki pyali shauhar ko di
ek gosha bilkul KHali tha
tum bhi jo aatin hum mil rahte
ishq ka matlab sab pa jate
go hum munh se kuchh bhi na kahte
Nazm
Restaurant mein
Mustafa Zaidi