mere aangan mein bikhre zard patte
mujhe hamraaz lagte hain
ye jab halki hawa ki sarsarahaT se larazte hain
to yun lagta hai jaise
un pe koi bhed sa khulne laga hai
jaise un ko bawar ho gaya hai
ki KHud shaKHon ne be-parwai se daman chhuDaya hai
zamin ne bhi nigahen pher li hain
unhen malum hai shayad
zamin pairon tale hi jab na ho to
jitna marzi sar paTaKH len
Tahniyon ko tham len
be-faeda hai
ab unhen be-asra rahna paDega
kabhi pairon mein aa kar charmarana
hawa ke dosh par uDte
bikharte hi chale jaana paDega
wajud apna kisi gumnam goshe mein chhupa kar raigani ki aziyyat un ko sahte hi chale jaana paDega
KHayal aata hai
kitni be-nishan be-mol be-waqat si un ki zindagi hai
magar ye be-nishani jin KHalaon ko janam deti hai
unhen bharne ko jiwan konpalon se aaKHir ek din phuTta hai
yahi ek soch mujh ko
apne aangan mein bikharte charmaraate zard patton se
bahut manus rakhti hai
bahut nazdik rakhti hai
Nazm
Reincarnation
Maimoona Abbas Khan