jaane kitne hi raaten hongi
jaane kitne hi din honge
jo tumhaari bedari aur nind mein
chae ki pyaliyon mein
aur mohabbat karne walon ke dilon mein zinda hain
main tumhaari aawaz to ab bhi sun raha hun
kai dinon se mera phone jo band raha
wo ab meri ruh mein khul gaya hai
aur hamari ruhon ke darmiyan koi fasla nahin
kaun kahta hai ki tumhein duniya pasand nahin aai
to tum ne duniya chhoD di
abhi to tashkil ke kai safhat ki tartib baqi hai
abhi to tumhein bahuton ke zamir par paDe hue
parde uThane hain
abhi to shiba owen mein jo cake tayyar kar rahi hai
use khana baqi hai
abhi to injala tum se meri jo shikayat karne wali hai
ki main ne ye nahin kiya
main ne wo nahin kiya
goya tumhaare mashwaron par
nae sire se kan dharna hai
abhi to kai kaam baqi hain
bhabhi ko banarsi siwaiyan tayyar karni hain
abhi to tasir tausif aur शरà¤à¥à¤²
tumhaari aawaz sunne ke muntazir hain
abhi to mahbub-'KHizan' tumhein abad-ul-abaad ke liye
cigarette chhoDne ka mashwara dene wale hain
main tumhaari aawaz to ab bhi sun raha hun
bagh-o-bahaar aadmi to kabhi nahin marta
tumhaari bagh-o-bahaar aawaz to main ab bhi sun raha hun
Nazm
Rehan-siddiqi ki yaad mein
Ahmad Hamesh