hum mohabbat ke KHarabon ke makin
waqt ke tul-e-alamnak ke parwarda hain
ek tarik azal nur-e-abad se KHali
hum jo sadiyon se chale hain to samajhte hain ki sahil paya
apni tahzib ki pakobi ka hasil paya
hum mohabbat ke nihan-KHanon mein basne wale
apni pamali ke afsanon pe hansne wale
hum samajhte hain nishan-e-sar-e-manzil paya
hum mohabbat ke ke KHarabon ke makin
kunj-e-mazi mein hain baran-zada tair ki tarah aasuda
aur kabhi fitna-e-nagah se Dar kar chaunken
to rahen sidd-e-nigah nind ke bhaari parde
hum mohabbat ke KHarabon ke makin!
aaise tarik KHarabe ki jahan
dur se tez palaT jaen ziya ke aahu
ek bas ek sada gunjti ho
shab-e-alam ki yahu! yahu
hum mohabbat ke KHarabon ke makin
reg-e-diroz mein KHwabon ke shajar bote rahe
saya napaid tha sae ki tamanna ke tale sote rahe
Nazm
Reg-e-diroz
Noon Meem Rashid