lafz wapas nahin hua karte
talKHiyon mein ghule hue lahje
zarf ke hath kya hi mahir hon
phul ban kar nahin khila karte
hazf karne ka aasra le kar
koi tahrir likh nahin dena
bhul jaane ki iltija le kar
mat kaho koi harf-e-na-bina
kal jo KHali gaya tha war koi
kargar aaj ho bhi sakta hai
bhuli-bisri gawahiyon ka shajar
bar-war aaj ho bhi sakta hai
nazar-andaz hone wala dard
mo'atabar aaj ho bhi sakta hai
waqt ki dhul mein ulajh kar bhi
zinda rahta hai sans leta hai
naqsh aawaz ka ho harf ka ho
lakh ghaeb karo nigahon se
dil ke andar kahin pe rahta hai
naqsh ban kar nahin miTa karte

Nazm
Recyclebin
Saima Esma