raushni hai wo
wo dhup hai khilti hui
jalti hui ek lohe
apni raushni se
KHud rah mein ujala karti
aandhiyon se
andheron se
use KHauf nahin
kanpti lau ko
tharthara ke
sambhalne ka hunar
aata hai
is lau ne
har samt mashal ban kar
dikhaya hai apna jauhar
kitne kamal kar ke
dekhna ek din ye bad-guman duniya
manegi us ki ahmiyat
salam kar ke use
Nazm
Raushni hai wo
Khadija Khan