naz tha KHubi-e-guftar pe mujh ko lekin 
aaj phulon ne pukara mujhe rang-o-bu se 
tu nazar aaya ki patthar bhi zaban rakhte hain 
har makan makinon ki hai tafsir-e-nazar 
shaukat-e-shah ka unwan bana us ka mahal 
sang-e-diwar ne di us ke tahaffuz ko zaban 
jhonpaDi ghurbat-e-mazdur ki hai marsiyan-KHwan 
chithDe chiKHte hain jeb ki nadari par 
aabla-pai se aati hai safar ki KHushbu 
gard-e-malbus se milti hai musafir ki KHabar 
kis ki aawaz sunun kis ki sada par bolun
        Nazm
Rang-e-guftugu
Yusuf Zafar

