main sochta hun ki is KHair-o-shar ke baad hai kya
faza tamam nazar hai nazar ke baad hai kya
shab intizar-e-sahar hai sahar ke baad hai kya
dua bara-e-asar hai asar ke baad hai kya
ye rahguzar hai to is rahguzar ke baad hai kya

Nazm
Rahguzar ke baad
Mahboob Khizan