اردو हिंदी
Rah-zani KHub nahin KHwaja-saraon ke liye | Shaahi Shayari
rah-zani KHub nahin KHwaja-saraon ke liye

Nazm

Rah-zani KHub nahin KHwaja-saraon ke liye

Ali Akbar Natiq

;

rahzani KHub nahin KHwaja-saraon ke liye
shor payal ka sar-e-rah na ruswa kar de

hath uThenge to kangan ki sada aaegi
tirgi fitna-e-shahwat ko hawa deti hai

chandni raqs pe majbur kiya karti hai
narm resham se bune shoKH dupaTTon ki qasam

log luTne ko sar-e-rah chale aaenge
is qadar aaenge bhar jaega phir raat ka dil

saKHt lahja gul-e-naghma mein badal jaega
KHun bahane ke ewaz itr-fishani hogi

hosh aaega to bikhre paDe honge ghungru
subh phir chaak libason ka tamasha hoga

rahzani KHub nahin KHwaja-saraon ke liye