mujhe ye yaqin tha
ki jab main sunaunga
is shahr ko
shab ke pahlu mein kis tarah paya hai main ne
to sab log mere qarib aa ke
hairat se mujh ko takenge
bhari piyaliyan chae ki
hath se chhuT kar gir paDengi
nigahon mein
gahri udasi ke baadal umaDne lagenge
nae muashare ki
bad-amaliyon aur bad-chalniyon par
baDe saKHt lahje mein tanqid hogi
magar koi pyali na hathon se chhuTi
na gahri udasi nigahon mein umDi
nae maashre ki
bad-amaliyon aur bad-chalniyon par
kisi ne na sang-e-malamat hi phenka
suna sirf itna
abhi tum ko is shahr ke jaanne mein kai din lagenge
Nazm
Radd-e-amal
Zubair Rizvi