zamin se falak tak
aaKHiri jhalak tak
marasim dilon ke
be-nam manzilon ke
KHalaon se guftugu
apni hi justuju
chahaton ke silsile
sadiyon ke marhale
aur chhor se nahin koi
qafile hi qafile
insani jismon ke
tahzibi qasmon ke
har jism ek tilism hai
har tilism ek dil hai
is dil ke
raaz samajhna
baqi hain abhi
Nazm
Raaz
Khadija Khan