sard maidanon pe shabnam saKHt
sukDi sha-rahon munjamid galiyon pe
jala nind ka
masruf logon be-irada ghumte aawara
ka hujum be-dimagh ab tham gaya hai
ranDiyon zanKHon uchakkon jeb katron lutiyon
ki fauj istimal karda jism ke manind Dhili
paD gai hai
sansanati raushni hawaon ki phisalti
god mein chup
unghti hai farsh aur diwar o dar
fuT path
khambe
dhundli mehraben
dukanon ke siyah viran-zine
sab ke nange jism mein shab
nam hawa ki suiyan be-KHauf
utarti kudti dhumen machati hain
kuchh shikasta taKHton ke pichhe kai
masum jaanen hain
KHwab kam-KHwabi mein larzan
baal o par mein sard-nishtar
bans ki halki akahri be-hifazat
Tokari mein
darjanon majbur tair
zer-e-par minqar munh Dhanpe KHamoshi ke samundar-e-be-nishan mein
gharq bazu-basta chup
maKHluq KHuda jo gol kali gahri aankhon ke
na jaane kaun se manzar mein gum hai
Nazm
Raat shahr aur uske bachche
Shamsur Rahman Faruqi