tez talwar ki dhaar aisi sada
qatra qatra mere KHun mein
pighle se ke manind girti rahi
meri rag rag mein ghul kar bikharti rahi
aur phire hue tund zarron ki surat
mere jism mein dauDti jhanjhanati phiri
subh hone ko hai
koi dam mein ye zaKHmon bhari raat ki garm chadar
ujale ke sabun mein dhul kar nikhar aaegi
har taraf narm-o-nazuk si KHushiyon ke chhinTe
kiwaDon ko chheDenge sulaenge
phul khil jaenge
qahqahon chahchahon ki jwala
syahi ke dhabbon ko kha jaegi
sochta hun
ye ek tez si dhaar aisi chamakti sada
jis ki kirchen meri ek ek rag mein
panjon ko gaDe khaDi hain
kahan jaegi
itni sadiyon ke ban-bas ko jhel kar
apne ghar aai nari se ab kis tarah main kahun
jao
ye ghar to KHushiyon ki rani ka ghar hai
Nazm
Raat bhar ek sada
Wazir Agha