na jaane kab se yunhi dil-shikasta baiThi hun
udas chehre ko apni hatheliyon mein liye
guzarne wali hai raat aur meri aankhon mein
jala rahi hai teri yaad aansuon ke diye
mera KHayal tha un zar-nigar mahlon mein
wo dil-kashi hai ki main tujh ko bhul jaungi
nashat-e-taza ke ehsas ki shuaon se
shabab-o-husn ki rahon ko jagmagaungi
magar KHabar na thi ye shoKH-o-shang hangame
meri jawan ummidon ka husn luTenge
sunahre KHwab KHizan-dida pattiyon ki tarah
ujDa ujaD ke baDi hasraton se TuTenge
main sochti hun ki ek jism ke pujari ko
meri wafa ne wafa ka suhag kyun samjha
hawas ke saz pe gae hue tarane ko
dhaDakte dil ki mohabbat ka rag kyun samjha
ye sim-o-zar ki bahaaron ka daur-e-sarmasti
meri fasurdagi-e-ruh ko na ras aaya
thaki thaki si jawani bujhi bujhi si hayat
main sochti hun tujhe kho ke main ne kya paya
ye Thik hai ki tera pyar sim-posh na tha
wafa-shanas tha lekin wafa-farosh na tha
Nazm
Rakh
Naresh Kumar Shad