sun ke bhi chup hi raha
talKH baaten mushk-bar afghani qahwe ke
rasile ghunT mein ghul-mil gain
ye haqiqat aur thi ki bap dada qissa-go mashhur the
is liye wo chup raha
tariKH ke naqshe mein
jin shahron ki shohrat gunjti hai
wo KHamoshi ke is azli rang se zahir hue
jis se shanasai nahin hai
is hujum-e-shor-o-shar ki
us ne socha
yaad-gari chauk mein chaaron taraf
ye bolte bazar hain
is liye afsurdagi mein gum khaDe
us bed-e-majnun par
nazar paDti nahin
jo akela rah gaya hai qissa-KHwanon mein yahan
be-rang ukhaDti chhaal par
chaqu se kanda nam phika paD gaya hai
kanda-kari ja mili hai KHak se
waqt ki ghaflat ne kya sabit kiya
zaKHm khane aur lagane walon mein
kaun fatah-yab hain
shirin-gul!
aage suna
kya sabz aankhon mein bhi KHaki KHwab hain
Nazm
Qissa-KHwani
Yameen