tasahul ki chadar lapeTe hue qissa-KHwani ek sham thi
hum wahan apni din bhar ki is jaan-lewa thakan se
nabard-azma
KHub qahwon pe qahwe ke piyale lunDhate rahe
aur apne buland-bang dawon se aur qahqahon se
kahin ghonslon mein chhupe thak ke soe hue
nim-jaan taeron ko jagate rahe
aur guzre zamane ke piron faqiron ki koi na kai karamat sunate rahe
(kis tarah sahiban-e-karamat barzaKH to barzaKH
shar-angez zindon ki ruhen bulane pe qadir
sabhi ko bad-amaliyon se bachate rahe)
par jo ye sab nahi mante the
wo niswar ki tez bu mein base
inT gare ke ek nim-puKHta thaDe par
bar-afroKHta ho ke inkar mein sar hilate rahe
han magar wo ki jin ke labon par
charas aur ganje ki udi si tah
mustaqil jam gai thi
faqat muskuraate rahe
aur sangat mein maujud jo bachcha-KHush the
wo har aate jate trahdar kam-umr laDke ko
aaankhon hi aaankhon mein pate rahe
phir sab aapas mein mil kar
karachi se kunduz tak pesha karti hui kasbiyon
hijDon aur lounDon ke
pur-kaif qisse sunate rahe
gudgudate rahe
dil lubhate rahe
Nazm
Qissa-KHwani bazar ki ek sham
Haris Khaleeq