patangen luTne walon ko kya malum kis ke hath ka manjha khara tha aur kis ki
Dor halki thi
unhen is se gharaz kya pench paDte waqt kin hathon mein larza aa gaya tha
aur kis ki khench achchhi thi?
hawa kis ki taraf thi, kaun si pali ki bairi thi?
patangen luTne walon ko kya malum?
unhen to bas basant aate hi apni apni Dangen le ke maidanon mein aana hai
gali-kuchon mein kanTi marna hai patangen luTna hai luT ke jauhar dikhana hai
patangen luTne walon ko kya malum kis ke hath ka manjha khara tha
aur kis ki Dor halki thi?
Nazm
Qissa ek basant ka
Iftikhar Arif