sunte the
gunahon ki intiha
zamin par had se
jab baDh jaegi
to qayamat
barpa hogi
barsegi aag
aaega sailab
qudrat ka qahr
nazil hoga
allah rahm kare
aaj is haul-nak daur se
guzar rahe hain hum
jahan
zamin ke har KHitte mein
TukDon TukDon mein
zindagi ho rahi hai tabah
kahin jang kahin wahshat
kahin bhuk kahin dahshat
gunjte dhamake
bahte dariya lahu ke
maut ke qahqahe
yahan se wahan talak
zahrili fazaon mein
bebasi hi bebasi
goya sab kuchh
apne iKHtiyar se be-qabu
ab aur kis shakl mein aaegi qayamat
Nazm
Qayamat
Khadija Khan