hamein kaun bachaega
agar kabhi hamari jeben
KHali karane ki koshish ki gai
agar kabhi hamari ungliyon ke darmiyan
pencil rakh kar aur unhen daba daba kar
kuchh puchhne ki zarurat mahsus hoti
to hum kya bataenge
yahi ki hum ne kabhi chand khoTe sikkon
chamDe mein chhupe tawiz
aur khajur ki guThliyon ke siwa
zamin mein kuchh nahin dabaya
ya ye ki hamari almari ke KHanon mein
mansuKH-shuda passport
chand KHandani albamon
aur aqiq ki anguThiyon ke siwa
kuchh maujud nahin
magar ye hamara KHayal hai sirf KHayal
hamein kuchh nahin hoga
aur agar kuchh hua
to hamare dost daraKHt hamein
apne sae mein le lenge
jin baadalon ki tashkil mein
hamare aansu shamil hain
hamein sath le jaenge
aur niche nahin girne den
agar kabhi be-dhyani ke aalam mein
hum niche shahr mein gire bhi
to hamari jebon se
chhoTe chhoTe sitaron ber bahuTiyon
aur barish ke qatron ke siwa
kuchh baramad na hoga
Nazm
Qatre
Zeeshan Sahil