sab ke liye na-pasandida uDti makkhi
kitni aazadi se mere munh aur mere hathon par baiThti hai
aur is roz-marra se aazad hai jis mein main qaid hun
main to subh ko ghar bhar ki KHak sameTti jati hun
aur mera chehra KHak pahanta jata hai
dopahar ko dhup aur chulhe ki aag
ye donon mil kar war karti hain
gardan pe chhuri aur angara aankhen
ye mera sham ka roz-marra hai
raat bhar shauhar ki KHwahish ki mashaqqat
meri nind hai
mera andar tumhaara zahr
har tin mahine baad nikal phenkta hai
tum bap nahin ban sake
mera bhi ji nahin karta ki tum mere bachche ke bap bano
mera badan meri KHwahish ka ehtiram karta hai
main apne nilo nil badan se pyar karti hun
magar mujhe makkhi jitni aazadi bhi tum kahan de sakoge
tum ne aurat ko makkhi bana kar botal mein band karna sikha hai
Nazm
Qaid mein raqs
Kishwar Naheed