bangal ki main sham-o-sahar dekh raha hun
har chand ki hun dur magar dekh raha hun
iflas ki mari hui maKHluq sar-e-rah
be-gor-o-kafan KHak-ba-sar dekh raha hun
bachchon ka taDapna wo bilakna wo sisakna
man-bap ki mayus nazar dekh raha hun
insan ke hote hue insan ka ye hashr
dekha nahin jata hai magar dekh raha hun
rahmat ka chamakne ko hai phir nayyar-e-taban
hone ko hai is shab ki sahar dekh raha hun
KHamosh nigahon mein umanDte hue jazbaat
jazbaat mein tufan-e-sharar dekh raha hun
bedari-e-ehsas hai har samt numayan
be-tabi-e-arbabe-e-nazar dekh raha hun
anjam-e-sitam ab koi dekhe ki na dekhe
main saf un aankhon se magar dekh raha hun
sayyaad ne luTa tha anadil ka nasheman
sayyaad ka jalte hue ghar dekh raha hun
ek tegh ki jumbish si nazar aati hai mujh ko
ek hath pas-e-parda-e-dar dekh raha hun
Nazm
Qaht-e-bangal
Jigar Moradabadi