اردو हिंदी
Qabil ka saya | Shaahi Shayari
qabil ka saya

Nazm

Qabil ka saya

Sahar Ansari

;

KHuda ke KHauf se apne gunahon par KHajil ho kar
wo paiham girya karta tha

wo apne bhai ke lashe pe paiham girya karta tha
lahu aawaz deta tha zamin ki KHak ruswa se

KHuda ka arsh kanp uThta tha is fariyaad ko san kar
baradar-kush saza pate the patthar ban ke jite the

aur un ke dil ki dhaDkan band ho jati thi sinon mein
aur un ka KHun in ki sard sharyanon pe hansta tha

magar is daur mein koi KHuda aisa nahin karta
ki ab shahron ki haalat agle sahraon se behtar hai

ki ab shahron mein mar o azhdar o kargas nahin milte
kutub-KHanon mein afkar-o-aqaed jalwa-farma hain

hazaron dars-gahen dai-e-aqdar-e-insan hain
siyah saDkon pe karen hain fazaon mein hain tayyare

imaraat-e-buland apne falak-paima darichon se
makoDon ki tarah chalte hue jismon ko takti hain

hamare shahr maman hain hamare shahr gulshan hain
ab in shahron mein farsuda KHuda ki kya zarurat hai

KHuda KHamosh hai aur KHauf-o-gham se nim-jaan insan
hawa ki lahr ko bhi maut ki aahaT samajhte hain

kisi ko kuchh nazar aata nahin lekin koi jazba
ye chupke chupke kahta hai ki ai habil ai habil

halakat ke nae saman se aarasta ho kar
gali-kuchon mein aa pahuncha hai phir qabil ka saya