main ki hun pyas ke dariya ki taDapti hui mauj
pi chuka hun main samundar ka samundar phir bhi
ek ek qatra-e-shabnam ko taras jata hun
qatra-e-shabnam-e-ashk
qatra-e-shabnam-e-dil KHun-e-jigar
qatra-e-nim-nazar
ya mulaqat ke lamhon ke sunahri qatre
jo nigahon ki hararat se Tapak paDte hain
aur phir lams ke nur
aur phir baat ki KHushbu mein badal jate hain
mujh ko ye qatra-e-shadab bhi chakh lene do
dil mein ye gauhar-e-nayab bhi rakh lene do
KHushk hain honT mere KHushk zaban hai meri
KHushk hai dard ka, naghme ka gulu
main agar pi na saka waqt ka ye aab-e-hayat
pyas ki aag mein Darta hun ki jal jaunga
Nazm
Pyas ki aag
Ali Sardar Jafri