bistar par muTThi bhar haDDiyan rah gain
to masiha ne bataya
ab miTTi par zyaada haq miTTi ka hai
so hum ne miTTi par miTTi lip kar us par ek charagh
ka katba likkha
raat!!! subh tak hawa phunkti phirti thi
aur sitare hamari hatheliyon par paDe maile
hote rahe
aansuon ko sabr ka kafan kahan se den
phul apni KHushbu chhoDta hai hansi nahin chhoDta
gham-zado!!! charagh aankhon ko saunp do
ki aansu sirf charagh rota hai
jis hath par charagh dhara tha
wo hath hamari chhat tha
dar-o-diwar par chhat na rahe
to baadal bhi hausla haar dete hain
tumhaare aasman par rote hue KHayal aaya
mera aasman bhi kitna buDha ho gaya hai
kuchh aansu bacha le mere dost!
Nazm
Pursa
Anjum Saleemi