main jis mein rahti hun mera ghar hai
yahan ki diwar-o-dar ke andar
meri jawani ke tane-bane
har ek rag-e-sang mein rawan hain
yahan pe nikhri hui safedi
mere buDhape ki aane wali
sahar ka elan kar rahi hai
yahan ki chhat mere dil se nikli hui dua hai
jo bargah-e-KHuda mein maqbul ho ke saya kiye hue hai
yahan ki khiDki yahan ke rauzan
meri hi aankhon ke KHwab hain
kuchh mein raushni kuchh bujhe bujhe hain
yahan pe kuchh log rah chuke hain
yahan pe kuchh log rah rahe hain
hamare mabain kya hai mazi ke rabte hain
wo rabte jin pe sirf meri giraft mahfuz rah gai hai
jabhi to aisa hua hai aksar
main apne hathon ko KHud jhaTak kar
nikal paDi aise raste par
jo baal se bhi mahin
talwar ki tarah
tund o murtaish tha
main kaT ke gir jaana chahti thi
bikhar ke mar jaana chahti thi
magar na-jaane mujhe hua kya!
bajae is ke ki niche dekhun
meri in aankhon ne pichhe dekha
wahin jahan ek ghar khaDa tha
wo jis ki khiDki wo jis ke rauzan
meri hi aankhon ke KHwab the, kuchh mein raushni, kuchh bujhe bujhe the!!
Nazm
Pul-siraat
Zehra Nigaah