اردو हिंदी
Pichhle pahar ki dastak | Shaahi Shayari
pichhle pahar ki dastak

Nazm

Pichhle pahar ki dastak

Abrar Ahmad

;

tere shahr ki sard galiyon ki aahaT
mere KHun mein sarsarai

main chaunka
yahan kaun hai

main pukara magar
dur KHali saDak par kahin

raat ke Dubte pahar ki KHamushi chal paDi
rat-jagon ki thakawaT mein Dubi hui

aankh se KHwab nikla koi
laDkhaData hua

raat ke sard aangan mein girta hua
KHali shaKHon mein aTke hue

chand ki aankh se ek aansu gira
aur sine mein gum ho gaya

dhund ki narm poren
masamon mein chalne lagin

do taraf istada daraKHton ke niche
bahe aansuon ki mahak mein mujhe

nind aane lagi