phir wahi KHwab-numa
shab ke sarabon ka chalan jari hai
shab ki is bar safiran-e-chaman
aur bhi kuchh bhaari hai
gul pe shabnam pe anadil pe
saba aur hawa sab pe
wahi sehr-e-alam tari hai
phir usi tarz-e-kuhan
mein naya andaz-e-fusun-kari hai
saKHt mushkil mein hain
ai jaan-e-wafa arz-e-watan
harf-e-maqsud raqibon ko gawara bhi nahin
kya karen sabr ka yara bhi nahin
kaise tamir ki tazin ki phir baat karen
KHun-e-dil nazr-e-giran-bari-e-auqat karen
hum tahi-dast jo aahon mein asar mangte hain
sabz-o-shadab hasin KHuld-e-nazar mangte hain
apni majbur tamanna ka nagar mangte hain
ek be-dagh sahar mangte hain!!
Nazm
Phir wahi shab ke sarabon ka chalan!
Akhtar Ziai