chand lamhon ke liye shor uTha Dub gaya
kohna zanjir-e-ghulami ki girah kaT na saki
phir wahi sail-e-bala hai wahi dam-e-amwaj
na-KHudaon mein safine ki jagah baT na saki
TuTte dekh ke derina tattul ka fusun
nabz-e-ummid-e-watan ubhri magar Dub gai
peshwaon ki nigahon mein tazabzub pa kar
TuTti raat ke sae mein sahar Dub gai
mere mahbub watan tere muqaddar ke KHuda
dast-e-aghyar mein qismat ki inan chhoD gae
apni yak-tarfa siyasat ke taqazon ke tufail
ek bar aur tujhe nauha-kunan chhoD gae
phir wahi gosha-e-zindan hai wahi tariki
phir wahi kohna salasil wahi KHunin jhankar
phir wahi bhuk se insan ki satiza-kari
phir wahi maon ke nauhe wahi bachchon ki pukar
tere rahbar tujhe marne ke liye chhoD chale
arz-e-bangal! unhen Dubti sanson se pukar
bol! chaTganw ki mazlum KHamoshi kuchh bol
bol ai pip se riste hue sinon ki bahaar
bhuk aur qaht ke tufan baDhe aate hain
bol ai ismat-o-iffat ke janazon ki qatar
rok un TuTte qadmon ko unhen puchh zara
puchh ai bhuk se dam toDte Dhanchon ki qatar
zindagi jabr ke sanchon mein Dhalegi kab tak
in fazaon mein abhi maut palegi kab tak
Nazm
Phir wahi kunj-e-qafas
Sahir Ludhianvi