KHamosh Dhali dopahr
aakash ka khoya khoya nil
thaki thaki bimar hawa
waqt ke chalte Dore se kuchh der alag sune lamhe
ehsas ki zard lakiren
yaad ke phike sae
dur dur be-rang ufuq
shant samundar ki surat ek phaila phaila sa Thahrao
bujha bujha uchaT sa dil
ubi ubi soch
uktahaT mein ek an-jaani wahshat si
sune lamhon ke bahar
jiwan ke guzarte shor ka ek bojhal sa KHayal
is phaile phaile Thahrao ki be-kaifi mein
gharqabi si
virani si
Nazm
Phiki zard dopahr
Abdul Ahad Saaz