اردو हिंदी
Patthar par taswir bana kar | Shaahi Shayari
patthar par taswir bana kar

Nazm

Patthar par taswir bana kar

Adil Mansuri

;

patthar par taswir bana kar
pani mein chhup jata hai

sahra sahra KHak uData
jangal mein lahraata hai

sukhe patton ko khaDkata
sabze se sharmata hai

sadiyon ke tarik khanDar mein
jab aawaz lagata hai

la-mahdud KHala ke lab par
KHamoshi ban jata hai