اردو हिंदी
Pasand | Shaahi Shayari
pasand

Nazm

Pasand

Sheerin Ahmad

;

din bharte hain
dukh baDhte hain

KHushiyan kitni kam hain
aasman kitna uncha

aur zamin kitni chhoTi
chand zamin ke gird chakkar lagata hai

phir bhi zamin
suraj hi ke gird ghumti hai

shayad use bhi pasand hai
tapish mein pighalna