kahan jaana tha mujh ko
kis nagar ki KHak baalon mein sajaana thi
mujhe kin Tahniyon se dhup chunna thi
kahan KHema lagana tha
meri miTTi rah-e-sayyargan ki ham-qadam nikli
meri palkon pe tare jhilmilate hain
badan mein aag jalti hai
magar panw mein KHun-asham raste laDkhaDate hain
ye kya shiraaza-bandi hai
ye meri be-pari kis kunj se ho kar baham nikli
nazar mein din nikalta hai
paron mein sham Dhalti hai
magar main to lahu ki munjamid sil hun
badan ki kisht-e-viran mein
ye kis ki ungliyon ne umr bhar mujh ko kureda hai
kahan shiryan mein chalta hua ye qafila Thahra
ki main us hath ki rekhaon mein rang-e-hina Thahra
kahan jaana tha mujh ko
kis jagah KHema lagana tha
Nazm
Paron mein sham Dhalti hai
Abbas Tabish