parinda jo honTon pe par taulta tha
use baz rakhne ki KHatir ek aaseb tha mere dar pe
qad us ka falak napta tha
nigahen uThao jo chehre ki jaanib
to ghuTne se aTkin
mujhe us ne mohre ki surat uThaya
aur ek swimming-pool mein la ke Dala
wo ye chahta tha ki pani mein ye aag bhaDkane wali hasin machhliyan
mujh ko rangon mein apne jakaD len
mere KHun mein ye aatish rang bhar kar
mujhe bhasm kar den
magar jab na ho paya aisa
to us ne mujhe ek pahaDi gupha mein utara
jahan sim-o-zar ka ek ambar sa tha
us ambar mein khul ja sim-sim ki yaad aai
chaalis choron ki dahshat dar aai
mujhe us ne qasim ki surat mein dekha tha
us ko yaqin tha
chaka-chaund zar ki mujhe dasht-e-na-bud ki rah par Dal degi
magar jab na ho paya aisa
to us ne meri ek kaf-e-dasht par chand aur dusri pe
rakha la ke suraj
aur KHud apni Tangon se a aur w ungliyon se bana kar
ajab tuntune se khaDa tha
mere hath ne us ki w par ye chand aur suraj uchhaale
chhanaka hawa zor ka main ne dekha zamin par
ye chand aur suraj shikasta the
aur honT ke mustaqar se
parinda fazaon ke aaghosh mein tairta tha
zamin aasman ke qulabe milata hua dew aaseb
qad mein
meri unchi gardan ke jute ke ham-sar hua tha
Nazm
Parinde
Adeeb Suhail