jo zahir na ho wo latafat nahin hai
jo pinhan rahe wo sadaqat nahin hai
ye fitrat nahin hai mashiyyat nahin hai
koi aur shai hai ye ismat nahin hai
saba aur gulistan se daman kashida
nawa-e-fusun-KHez aur na-shunida
tajalli-e-ruKHsar aur na-damida
koi aur shai hai ye ismat nahin hai
sar-e-rahguzar chhup-chhupa kar guzarna
KHud apne hi jazbaat ka KHun karna
hijabon mein jina hijabon mein marna
koi aur shai hai ye ismat nahin hai
KHayalat-e-paiham mein har waqt gum-sum
dil-e-narm-o-nazuk pe abr-e-tawahhum
bujha sa tabassum ghuTa sa takallum
koi aur shai hai ye ismat nahin hai
wo ek kahish-e-talKH har aan dil mein
wo sham-o-sahar ek KHaljaan dil mein
umanDta hua ek tufan dil mein
koi aur shai hai ye ismat nahin hai
nigahon ki dawat ko pamal karna
mazaq-e-latafat ko pamal karna
taqaza-e-fitrat ko pamal karna
koi aur shai hai ye ismat nahin hai
qasam anjum-e-shab ke zauq-e-safar ki
qasam tazgi-e-nasim-e-sahar ki
qasam aasmanon ke shams-o-qamar ki
koi aur shai hai ye ismat nahin hai
qasam shoKHi-e-ishq sanjogta ki
qasam june ke azm-e-sabr-azma ki
qasam tahira ki qasam KHalida ki
koi aur shai hai ye ismat nahin hai
Nazm
Parda aur ismat
Asrar-ul-Haq Majaz