wo jo kahlata tha diwana tera
wo jise hifz tha afsana tera
jis ki diwaron pe aawezan thin
taswiren teri
wo jo dohraata tha
taqriren teri
wo jo KHush tha teri KHushiyon se
tere gham se udas
dur rah ke jo samajhta tha
wo hai tere pas
wo jise sajda tujhe karne se
inkar na tha
us ko dar-asl kabhi tujh se
koi pyar na tha
us ki mushkil thi
ki dushwar the us ke raste
jin pe be-KHauf-o-KHatar
ghumte rahzan the
sada us ki ana ke dar pe
us ne ghabra ke
sab apni ana ki daulat
teri tahwil mein rakhwa di thi
apni zillat ko wo duniya ki nazar
aur apni bhi nigahon se chhupane ke liye
kaamyabi ko teri
teri futuhat
teri izzat ko
wo tere nam teri shohrat ko
apne hone ka sabab jaanta tha
hai wajud us ka juda tujh se
ye kab manta tha
wo magar
pur-KHatar raston se aaj nikal aaya hai
waqt ne tere barabar na sahi
kuchh na kuchh apna karam us pe bhi farmaya hai
ab use teri zarurat hi nahin
jis ka dawa tha kabhi
ab wo aqidat hi nahin
teri tahwil mein jo rakkhi thi kal
us ne ana
aaj wo mang raha hai wapas
baat itni si hai
ai sahib-e-nam-o-shohrat
jis ko kal
tere KHuda hone se inkar na tha
wo kabhi tera parastar na tha
Nazm
Parastar
Javed Akhtar