اردو हिंदी
Pal bhar ka bahisht | Shaahi Shayari
pal bhar ka bahisht

Nazm

Pal bhar ka bahisht

Sarmad Sahbai

;

ek wo pal jo shahr ki KHufiya muTThi mein
jugnu ban kar

dhaDak raha hai
us ki KHatir

hum umron ki ninden kaTte rahte hain
ye wo pal hai

jis ko chhu kar
tum duniya ki sab se dilkash

lazzat se labrez ek aurat ban jati ho
aur main ek bahadur mard

hum donon aadam aur hawwa
pal ke bahisht mein rahte hain

aur phir tum wahi Dari Dari si
bason pe chaDhne wali, aam si aurat

aur main dhakke khata bojh uThata
aam sa mard

donon shahr ke
chiKHte dahaDte raston par

pal bhar ruk kar
phir us pal ka KHwab banate rahte hain