naddiyan mere qadmon ke niche se bahti chali ja rahi hain
pahaD mere ghuTnon
aur daraKHt mere rongTon par rashk kar rahe hain
phaili hui zamin par main kitna uncha ho gaya hun
chand mere mathe par hai
aur suraj hathon ka khilauna hai
KHuda meri khopaDi ke andar chamgadaD ki tarah phaDphaDa raha hai
samundar mera panw chum rahe hain
aur tahziben tez-o-tund hawaon ki tarah sansanahaT paida kar rahi hain
ki main zamin ko hath mein le kar is tarah uchhaal sakta hun
jaise bachche gend uchhaala karte hain
hazaron baras se main ne yahi KHwab dekha tha ki main KHuda ho jata
ab mujhe KHuda rahna bhi gawara nahin
logon ne mere qadmon pe sar rakh diye hain
lekin mera sar jo ab ek baDa sa bojh ban gaya hai
ise main kahan rakkhun
jannat mere dahne hath mein hai
aur dozaKH baen hath mein
aur sar par nur ka taj hai
farishte mere chaaron taraf hain
lekin ab main kya karun
mujhe to Dar lagta hai ki
ab main buDha ho gaya hun
Nazm
क्राइसिस
Paigham Aafaqi