raat bhar narm hawaon ke jhonke
waqt ki mauj rawan par bahte
teri yaadon ke safine lae
ki jaziron se nikal kar aae
guzra waqt ka daman thame
teri yaaden tere gham ke sae
ek ek harf-e-wafa ki KHushbu
mauja-e-gul mein simaT kar aae
ek ek ahd-e-wafa ka manzar
KHwab ki tarah guzarte baadal
teri qurbat ke mahakte hue pal
mere daman se lipaTne aae
nind ke bar se bojhal aankhen
gard-e-ayyam se dhundlae hue
ek ek naqsh ko hairat se taken
lekin ab un se mujhe kya lena
mere kis kaam ke ye nazrane
ek chhoDi hui duniya ke safir
mere gham-KHane mein phir kyun aae
dard ka rishta rifaqat ki lagan
ruh ki pyas mohabbat ke chalan
main ne munh moD liya hai sab se
main ne duniya ke taqaze samjhe
ab mere pas koi kyun aae
raat bhar nauha-kunan yaad ki biphri maujen
mere KHamosh dar o baam se Takraati hain
mere sine ke har ek zaKHm ko sahlati hai
mujhe ehsas ki us maut par sah de kar
subh ke sath nigun sar palaT jati hai
Nazm
Pahli maut
Mahmood Ayaz