asia ki is viran pahaDi par
maut ek KHana-ba-dosh laDki ki tarah
ghum rahi hai
meri raushni
aur anar ke daraKHton mein
qazzaqon ke chaqu chamakte hain
aur sar par wo chand hai jo is
pahaDi ka pahla paighambar hai
is pahaDi par fatima rahti hai
us ke kapDon mein wo kabutar hain
jo kabhi uD nahin sakte
KHuda ne hamein ek ghaar mein
band kar diya hai aur hamare saron par
siyah raat jaisa patthar rakh diya hai
Nazm
PahaDi ki aaKHiri sham
Qamar Jameel