chalte hue is pagDanDi par
jab samne peD aa jate the
hota hai guman had aa pahunchi
kahte the qadam ab lauT chalo
ab lauT chalo us rah pe jis se aae the
kuchh dur pe ja kar lekin ye muD jati thi
peDon ki safon mein tezi se ghus jati thi
bikhre hue patte os mein tar
chhanti hui kirnon ka sona
chup-chap fazaon ki KHushbu
nagah kisi tair ke paron ki ghabrahaT
hum aa gae in maidanon mein
phaile hue maidan aur ufuq ki pahnai
ab aao yahan se ghar loTen
chalte hue is pagDanDi par
Nazm
PagDanDi
Muneebur Rahman